Thursday, 18 October 2012

Dhaltay Rishtey

tu mujhse ab nazre chupane lagi hain,
    yeh baat ab kuch satane si lagi hain;

aankhon mein kayi baar dekha hai teri,
    ek kaanch ki deewar ke peechay ab jatane lagi hain;

honton par toh koi lafz nai sajaati hain,
     pal palkon se barish ki nami churane lagi hain;

dil ke toofaan mein beh jaane ko aatur,
     apni tanhaiyon mein gootay lagane lagi hain;

zindagi ki khj mein hum haath thame chale they,
      ab dareechon mein chup-chap akelay jaane lagi hain;

pathjhad aayega, chala jayega, maloom tha mujhko,
      aandhi pairon ke chaap chupa degi nahi lagta tha;


       dil se mita dun teri aawaz ki khanak bhi chahti hun,
par sune se aakash mein  aks ab dhoondne lagi hun;

       na hoti main, na dil nam gamgeen hi hota
na tu hoti aur na hi yeh duniya.
 

No comments:

Post a Comment