Monday, 4 June 2012

Teri khushbo ka patah karti hain,Mujhpay ehsaan hawa karti hain



Meri galiyon mein aa kar mujhsay who,
Kaano mein kuch toh kehti hain;
Tere aane ki aahat who mujhe,
Tere aane se pehlay deti hain;
Teri khusboo ka patah karti hain,
Mujhpay ehsaan hawa karti hain;

Jab kabhi yaad mein aankhen bhare,
Chajje se maine jhaka hain;
Tere muskuratey chehre ka bhi,
Toh yehi jhalak si deti hain;
Teri khusbhoo ka patah deti hain,
Mujhpay ehsaan hawa karti hain;

Teri  mefooz  saayein se alag,
Jab kabhi bhi khud ko paaya hain;
Yeh hawa hi hai jo mujhko,
apne aagosh mein bhar leti hain;
teri khushboo ka patah deti hain,
mujhpay ehsaan hawa karti hain;

rotaon ko jab main aksar,
karwatey badlati rehti hun;
teri  tarah hi mujhko,
thapkiyan hawa yeh deti hain;
Teri khushboo ka patah deti hain,
Mujhpar ehsaan hawa karti  hain;


Jab chaand ,chandni ke sang,
Meri tanhayi ke raag  gaata hain;
Us chaand ko apne aavaran mein,
Yeh hawa hi toh dhak leti hain;
Teri khusboo ka patah deti hain,
Mujhpar ehsaan hawa karti hain;



No comments:

Post a Comment